Dil aakhir tu kyun rota hai…
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab gum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai….
Advertisement



on January 15, 2012 on 1:50 pm
Kawal
on January 19, 2012 on 11:54 am
I like that
on January 22, 2012 on 8:21 am
kasi h
on February 21, 2012 on 5:20 pm
I love this
thanx javed ji